ret se aandhiyon ka jhagDa tha
ret se āñdhiy.oñ kā jhagḌā thā
sāñs-dar-sāñs dam ulajhtā thā
vo akelā hī bhiiḌ jaisā thā
vo mire chāroñ or chaltā thā
khel khelā chhupan-chhupā.ī kā
chhupne vaalā kabhī na miltā thā
is baras Dah ga.ī haiñ dīvāreñ
pichhlī bārish meñ mor nāchā thā
surḳh joḌā ḳharīd laa.ī maañ
jaane kin lakḌiyoñ meñ jalnā thā
raat aañsū pahan ke baiTh ga.ī
chāñd chup-chāp taktā jaatā thā
maiñ ne luknat ubuur kar lī thī
an-kahī baat ko samajh liyā thā
zindagī bik rahī thī Thele par
Thele vaalā kahīñ chalā gayā thā
kaalī chādar mujhe aziiz rahī
merā dukh-sukh usī meñ lipTā thā
us ko sūrat badalte dekhā thā
jo mire saare dukh samajhtā thā
ret se aandhiyon ka jhagDa tha
sans-dar-sans dam ulajhta tha
wo akela hi bhiD jaisa tha
wo mere chaaron or chalta tha
khel khela chhupan-chhupai ka
chhupne wala kabhi na milta tha
is baras Dah gai hain diwaren
pichhli barish mein mor nacha tha
surKH joDa KHarid lai man
jaane kin lakDiyon mein jalna tha
raat aansu pahan ke baiTh gai
chand chup-chap takta jata tha
main ne luknat ubur kar li thi
an-kahi baat ko samajh liya tha
zindagi bik rahi thi Thele par
Thele wala kahin chala gaya tha
kali chadar mujhe aziz rahi
mera dukh-sukh usi mein lipTa tha
us ko surat badalte dekha tha
jo mere sare dukh samajhta tha
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.