retili kitni hawa hai ird-gird
retīlī kitnī havā hai ird-gird
har nazar ik aa.ina hai ird-gird
hasratoñ kī sarzamīñ ḳhūñrez hai
ḳhvāhishoñ kī karbalā hai ird-gird
ik haqīqat haiñ mirī tanhā.iyāñ
ek ehsās-e-ḳhudā hai ird-gird
zindagī kachchā ghaḌā duniyā chanāb
tez-rau paanī chalā hai ird-gird
kyā ḳhabar kab kaun jiinā chhoḌ de
taak meñ kis kī qazā hai ird-gird
jitnī būḌhī ho ga.iiñ socheñ mirī
utnā ziyāda bachpanā hai ird-gird
dhuul hai bas dhuul 'zīshāñ' chār-samt
ek be-rasta dishā hai ird-gard
retili kitni hawa hai ird-gird
har nazar ek aaina hai ird-gird
hasraton ki sarzamin KHunrez hai
KHwahishon ki karbala hai ird-gird
ek haqiqat hain meri tanhaiyan
ek ehsas-e-KHuda hai ird-gird
zindagi kachcha ghaDa duniya chanab
tez-rau pani chala hai ird-gird
kya KHabar kab kaun jina chhoD de
tak mein kis ki qaza hai ird-gird
jitni buDhi ho gain sochen meri
utna ziyaada bachpana hai ird-gird
dhul hai bas dhul 'zishan' chaar-samt
ek be-rasta disha hai ird-gard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.