reza reza azm-e-safar hai
reza reza azm-e-safar hai
dhundlī dhundlī rāhguzar hai
phīkā phīkā rang-e-bahārāñ
suunā suunā har manzar hai
aadhī raat sadā kis ne dī
sham.a bujhā do vaqt-e-sahar hai
uḌtī ret kā kyā mustaqbil
ik sahrā tā-hadd-e-nazar hai
qatl chhupegā āḳhir kaise
ḳhuun idhar hai daaġh udhar hai
jaal bichhā hai har goshe meñ
kahte ho sayyād kidhar hai
'nāz' chaman kī shādābī meñ
shāmil apnā ḳhūn-e-jigar hai
reza reza azm-e-safar hai
dhundli dhundli rahguzar hai
phika phika rang-e-bahaaran
suna suna har manzar hai
aadhi raat sada kis ne di
shama bujha do waqt-e-sahar hai
uDti ret ka kya mustaqbil
ek sahra ta-hadd-e-nazar hai
qatl chhupega aaKHir kaise
KHun idhar hai dagh udhar hai
jal bichha hai har goshe mein
kahte ho sayyaad kidhar hai
'naz' chaman ki shadabi mein
shamil apna KHun-e-jigar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.