reza reza hi tha mismar purana ghar tha
reza reza hi tha mismar purana ghar tha
Shahabuddin Shah Qannauji
MORE BYShahabuddin Shah Qannauji
reza reza hī thā mismār purānā ghar thā
apne hone se hī bezār purānā ghar thā
silvaTeñ jism kī jaisī hī thiiñ dīvāroñ par
aur nazroñ meñ magar pyaar purānā ghar thā
tajraba umr meñ pinhāñ thā liyāqat jaise
jaise raushan koī mīnār purānā ghar thā
ukhḌā ukhḌā sā thā lahja to Tapaktī chhat thī
par thā saaya bhī fagan-dār purānā ghar thā
bikhrā bikhrā thā mohabbat meñ magar yakjā thā
thā hamārā bhī to ġham-ḳhvār purānā ghar thā
konā konā thā hamāre liye pairo-kārī
aur ḳhud ke liye nādār purānā ghar thā
ḳhud ke īmān kī bhī fikr duā bhī sab ko
phuul hī phuul the gulzār purānā ghar thā
'shāh' jab se vo gayā dard kā darmāñ de kar
phuul lagte haiñ mujhe ḳhaar purānā ghar thā
reza reza hi tha mismar purana ghar tha
apne hone se hi bezar purana ghar tha
silwaTen jism ki jaisi hi thin diwaron par
aur nazron mein magar pyar purana ghar tha
tajraba umr mein pinhan tha liyaqat jaise
jaise raushan koi minar purana ghar tha
ukhDa ukhDa sa tha lahja to Tapakti chhat thi
par tha saya bhi fagan-dar purana ghar tha
bikhra bikhra tha mohabbat mein magar yakja tha
tha hamara bhi to gham-KHwar purana ghar tha
kona kona tha hamare liye pairo-kari
aur KHud ke liye nadar purana ghar tha
KHud ke iman ki bhi fikr dua bhi sab ko
phul hi phul the gulzar purana ghar tha
'shah' jab se wo gaya dard ka darman de kar
phul lagte hain mujhe KHar purana ghar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.