reza reza tark ye rishta hua
reza reza tark ye rishta huā
sach kaheñ to jo huā achchhā huā
yaad kar dariyā ko sahrā ro paḌā
aur phir vo aap hī dariyā huā
us ke kūche jā ke pūchheñge kabhī
kyuuñ lage ye rāsta dekhā huā
ek to dil ke qadam bhī tez the
us pe ziina ishq kā bhīgā huā
tanhā tanhā so ga.e ham aur phir
aayā tū to ye bhī kyā aanā huā
reza reza tark ye rishta hua
sach kahen to jo hua achchha hua
yaad kar dariya ko sahra ro paDa
aur phir wo aap hi dariya hua
us ke kuche ja ke puchhenge kabhi
kyun lage ye rasta dekha hua
ek to dil ke qadam bhi tez the
us pe zina ishq ka bhiga hua
tanha tanha so gae hum aur phir
aaya tu to ye bhi kya aana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.