rida-e-abr nahin KHema-e-ghubar nahin
ridā-e-abr nahīñ ḳhema-e-ġhubār nahīñ
mirā safar kisī pahlū se sāzgār nahīñ
tanī huī hai dhanak kī tarah lahū kī kamāñ
lagā vo tiir jo manzar ke ār-pār nahīñ
hamārī raah se lashkar ġhamoñ ke guzre haiñ
hamāre jism pe zaḳhmoñ kā kuchh shumār nahīñ
khilī huī hai zamistāñ kī dhuup āñgan meñ
chale bhī aao ki mausam kā e.atibār nahīñ
kuchh aur der jalā.e rakho lahū ke charāġh
ḳhalīj-e-shab hai ye sahrā-e-be-kanār nahīñ
hamārī ḳhaak ko rakh kar havā ke raste meñ
diyā hai ġham bhī ik aisā jo pā.edār nahīñ
rida-e-abr nahin KHema-e-ghubar nahin
mera safar kisi pahlu se sazgar nahin
tani hui hai dhanak ki tarah lahu ki kaman
laga wo tir jo manzar ke aar-par nahin
hamari rah se lashkar ghamon ke guzre hain
hamare jism pe zaKHmon ka kuchh shumar nahin
khili hui hai zamistan ki dhup aangan mein
chale bhi aao ki mausam ka eatibar nahin
kuchh aur der jalae rakho lahu ke charagh
KHalij-e-shab hai ye sahra-e-be-kanar nahin
hamari KHak ko rakh kar hawa ke raste mein
diya hai gham bhi ek aisa jo paedar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.