rida koi dilruba nahin hai nigah koi dil-nashin nahin hai
rida koi dilruba nahin hai nigah koi dil-nashin nahin hai
Ahsan Ahmad Ashk
MORE BYAhsan Ahmad Ashk
ridā koī dilrubā nahīñ hai nigah koī dil-nashīñ nahīñ hai
tilism-e-zauq-e-nazar haiñ jalve vagarna koī hasīñ nahīñ hai
hamāre maqsad kī gumrahī se qadam qadam par bane haiñ kā'be
yahāñ jhukī hai vahāñ jhukegī kuchh kuchh e'tibār-e-jabīñ nahīñ hai
azal se ye rind-e-lā-ubālī gadā-e-maiḳhāna-e-nazar hai
qasam tirī kāfir añkhḌiyoñ kī sharāb aisī kahīñ nahīñ hai
ham apnā dukhḌā sunā rahe haiñ vo baiThe sun bhī rahe haiñ lekin
kuchh is tarah muskurā rahe haiñ ki jaise un ko yaqīñ nahīñ hai
qasam hai un surḳh āñsuoñ kī ki jin kī laḌiyāñ kabhī na TūTīñ
ki ab un āñkhoñ meñ koī qatra matā-e-'ashk'-e-hazīñ nahīñ hai
rida koi dilruba nahin hai nigah koi dil-nashin nahin hai
tilism-e-zauq-e-nazar hain jalwe wagarna koi hasin nahin hai
hamare maqsad ki gumrahi se qadam qadam par bane hain ka'be
yahan jhuki hai wahan jhukegi kuchh kuchh e'tibar-e-jabin nahin hai
azal se ye rind-e-la-ubaali gada-e-maiKHana-e-nazar hai
qasam teri kafir ankhDiyon ki sharab aisi kahin nahin hai
hum apna dukhDa suna rahe hain wo baiThe sun bhi rahe hain lekin
kuchh is tarah muskura rahe hain ki jaise un ko yaqin nahin hai
qasam hai un surKH aansuon ki ki jin ki laDiyan kabhi na TuTin
ki ab un aankhon mein koi qatra mata-e-'ashk'-e-hazin nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.