rifaqat mein rafiqon ki riya-kari bhi shamil hai
rifāqat meñ rafīqoñ kī riyā-kārī bhī shāmil hai
mirī āsāniyoñ meñ kār-e-dushvārī bhī shāmil hai
ba-juz tasvīr-e-gul ke baaġh meñ dekhūñ to kyā dekhūñ
'aqīdat ke asar meñ ḳhud se be-zārī bhī shāmil hai
naqāhat kā hai ġhalba so jhukā dete haiñ sar apnā
itā.at ke 'amal meñ apnī lāchārī bhī shāmil hai
musalsal band āñkhoñ se manāzir dekhtā huuñ maiñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ ehsās-e-bedārī bhī shāmil hai
'ayāñ hote haiñ ab mujh par kamāl-o-fan ke sab jalve
ġham-e-ḳhāshāk meñ lagtā hai chingārī bhī shāmil hai
kabhī vo ḳhuuñ bahātā hai kabhī aañsū bahātā hai
'adāvat kī adā meñ tarz-e-ġham-ḳhvārī bhī shāmil hai
samajhne sochne se hī nahīñ miltī mujhe fursat
mirī masrūfiyat meñ shaġhl-e-be-kārī bhī shāmil hai
gadāoñ ko taraste haiñ sabhī jāh-o-hasham vaale
amīrī kī 'atā meñ lutf-e-nādārī bhī shāmil hai
na jiitā hai na martā hai 'ajab insān hai 'rāhat'
na.ī bīmāriyoñ meñ ab ye bīmārī bhī shāmil hai
rifaqat mein rafiqon ki riya-kari bhi shamil hai
meri aasaniyon mein kar-e-dushwari bhi shamil hai
ba-juz taswir-e-gul ke bagh mein dekhun to kya dekhun
'aqidat ke asar mein KHud se be-zari bhi shamil hai
naqahat ka hai ghalba so jhuka dete hain sar apna
itaat ke 'amal mein apni lachaari bhi shamil hai
musalsal band aankhon se manazir dekhta hun main
KHayal-o-KHwab mein ehsas-e-bedari bhi shamil hai
'ayan hote hain ab mujh par kamal-o-fan ke sab jalwe
gham-e-KHashak mein lagta hai chingari bhi shamil hai
kabhi wo KHun bahata hai kabhi aansu bahata hai
'adawat ki ada mein tarz-e-gham-KHwari bhi shamil hai
samajhne sochne se hi nahin milti mujhe fursat
meri masrufiyat mein shaghl-e-be-kari bhi shamil hai
gadaon ko taraste hain sabhi jah-o-hasham wale
amiri ki 'ata mein lutf-e-nadari bhi shamil hai
na jita hai na marta hai 'ajab insan hai 'rahat'
nai bimariyon mein ab ye bimari bhi shamil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.