riha kar mujhe ya saza de ai aadil
rihā kar mujhe yā sazā de ai 'ādil
koī faisla to sunā de ai 'ādil
asīrī meñ jiinā hai tauhīn merī
mujhe daar par to chaḌhā de ai 'ādil
kahāñ 'adl mujh ko zamīñ par milegā
koī rāsta hī dikhā de ai 'ādil
mujhe aglī tārīḳh meñ ab ḳhudārā
qayāmat kā din hī batā de ai 'ādil
vo mujrim hai us kī jagah hai kaTahrā
use taḳht se to uThā de ai 'ādil
re'āyā pe qānūn jo chal rahā hai
vahī hākimoñ pe chalā de ai 'ādil
faqat jo kitāboñ meñ dam le rahā hai
vo qānūn saarā jalā de ai 'ādil
kahīñ maiñ na apnī 'adālat lagā luuñ
mire mujrimoñ ko sazā de ai 'ādil
vakīloñ kā biknā 'ayāñ ho chukā hai
tū apnī haqīqat dikhā de ai 'ādil
kabhī bhaag paa.eñ na jis se ye ġhāsib
koī jail aisī banā de ai 'ādil
riha kar mujhe ya saza de ai 'adil
koi faisla to suna de ai 'adil
asiri mein jina hai tauhin meri
mujhe dar par to chaDha de ai 'adil
kahan 'adl mujh ko zamin par milega
koi rasta hi dikha de ai 'adil
mujhe agli tariKH mein ab KHudara
qayamat ka din hi bata de ai 'adil
wo mujrim hai us ki jagah hai kaTahra
use taKHt se to uTha de ai 'adil
re'aya pe qanun jo chal raha hai
wahi hakimon pe chala de ai 'adil
faqat jo kitabon mein dam le raha hai
wo qanun sara jala de ai 'adil
kahin main na apni 'adalat laga lun
mere mujrimon ko saza de ai 'adil
wakilon ka bikna 'ayan ho chuka hai
tu apni haqiqat dikha de ai 'adil
kabhi bhag paen na jis se ye ghasib
koi jail aisi bana de ai 'adil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.