riha karna nahin un ko unhen aabaad rakhna hai
rihā karnā nahīñ un ko unheñ ābād rakhnā hai
sunahrī ḳhvāhishoñ ko qaid meñ dil-shād rakhnā hai
vo din bhī yaad rakhnā hai abhī jo kal hī biitā hai
jo ab maazī kā hissa hai hamesha yaad rakhnā hai
ḳhudā ḳhud bastiyoñ ke faisle kartā hai hikmat se
kise ābād rakhnā hai kise barbād rakhnā hai
bahut se log ā.eñge tumhārī zindagānī meñ
magar har-dam kisī ke ḳhāl-o-ḳhad ko yaad rakhnā hai
koī mausam ho koī imtihān-e-ranj-o-rāhat ho
hameñ to 'shāhida' har haal meñ dil-shād rakhnā hai
riha karna nahin un ko unhen aabaad rakhna hai
sunahri KHwahishon ko qaid mein dil-shad rakhna hai
wo din bhi yaad rakhna hai abhi jo kal hi bita hai
jo ab mazi ka hissa hai hamesha yaad rakhna hai
KHuda KHud bastiyon ke faisle karta hai hikmat se
kise aabaad rakhna hai kise barbaad rakhna hai
bahut se log aaenge tumhaari zindagani mein
magar har-dam kisi ke KHal-o-KHad ko yaad rakhna hai
koi mausam ho koi imtihan-e-ranj-o-rahat ho
hamein to 'shahida' har haal mein dil-shad rakhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.