rim-jhim hai ye ashkon ki rawani hai ki kya hai
rim-jhim hai ye ashkoñ kī ravānī hai ki kyā hai
aa dekh mirī aañkh meñ paanī hai ki kyā hai
anvār ke dhāre haiñ ye ḳhushbū hai ki tum ho
āñchal hai koī raat kī raanī hai ki kyā hai
sho.ala hai ye shabnam hai ki titlī hai kalī hai
ik bahr-e-suḳhan terī javānī hai ki kyā hai
ye chāñd sā chehra hai ki sūraj kī kiran hai
zulfeñ haiñ tirī raat suhānī hai ki kyā hai
lagtā hai falak ham ko agar misra-e-ūlā
to phir ye zamīñ misra-e-sānī hai ki kyā hai
hoñToñ pe larazte hue dam toḌ chukā hai
be-kār koī qissa kahānī hai ki kyā hai
'yāsir' hai mohabbat ko samajhnā bhī musībat
taaza bhī nahīñ hai to purānī hai ki kyā hai
rim-jhim hai ye ashkon ki rawani hai ki kya hai
aa dekh meri aankh mein pani hai ki kya hai
anwar ke dhaare hain ye KHushbu hai ki tum ho
aanchal hai koi raat ki rani hai ki kya hai
shoala hai ye shabnam hai ki titli hai kali hai
ek bahr-e-suKHan teri jawani hai ki kya hai
ye chand sa chehra hai ki suraj ki kiran hai
zulfen hain teri raat suhani hai ki kya hai
lagta hai falak hum ko agar misra-e-ula
to phir ye zamin misra-e-sani hai ki kya hai
honTon pe larazte hue dam toD chuka hai
be-kar koi qissa kahani hai ki kya hai
'yasir' hai mohabbat ko samajhna bhi musibat
taza bhi nahin hai to purani hai ki kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.