rim-jhim rim-jhim barse baadal
rim-jhim rim-jhim barse bādal
dil hai kisī kī yaad se jal-thal
bhīgī bhīgī laT jhaTkā.e
raat khaḌī hai bāñdhe paa.el
kaahe machā.e shor papīhe
tū bhī ghāyal maiñ bhī ghāyal
mere aañsū bhī le jaanā
un ke nagar jab jaanā bādal
jīvan ik ban-bās ho jaise
kitnā ghanā hai dard kā jangal
un se mile the dil bahlāne
un se mil kar dil hai bekal
terī tarah ye barkhā rut bhī
kitnī salonī kitnī chanchal
priit kare aur phir pachhtā.e
dil sā na hogā koī pāgal
duniyā kī har chiiz hai faanī
terā giit amar hai koyal
chāñd akelā maiñ bhī akelā
raat hai kitnī dard se bojhal
koī bhī mantar kaam na aa.e
Das le agar us aañkh kā kājal
aaj 'shahāb' ko ham ne dekhā
ishq kā maarā husn kā ghāyal
rim-jhim rim-jhim barse baadal
dil hai kisi ki yaad se jal-thal
bhigi bhigi laT jhaTkae
raat khaDi hai bandhe pael
kahe machae shor papihe
tu bhi ghayal main bhi ghayal
mere aansu bhi le jaana
un ke nagar jab jaana baadal
jiwan ek ban-bas ho jaise
kitna ghana hai dard ka jangal
un se mile the dil bahlane
un se mil kar dil hai bekal
teri tarah ye barkha rut bhi
kitni saloni kitni chanchal
prit kare aur phir pachhtae
dil sa na hoga koi pagal
duniya ki har chiz hai fani
tera git amar hai koyal
chand akela main bhi akela
raat hai kitni dard se bojhal
koi bhi mantar kaam na aae
Das le agar us aankh ka kajal
aaj 'shahab' ko hum ne dekha
ishq ka mara husn ka ghayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.