rind-e-baada-nosh jis ka mai-kade mein nam tha
rind-e-bāda-nosh jis kā mai-kade meñ naam thā
sāqiyā mahfil meñ terī vo hī tishna-kām thā
is jahān-e-ārzū meñ āshnā koī na thā
thā agar kuchh āshnā to dard-e-be-ārām thā
aaj kyoñ azmat kā parcham hai hamārā sar-nigūñ
bām-o-dar par shahr ke kal tak isī kā naam thā
jalte rahnā kīna-o-buġhz-o-hasad kī aag meñ
kyā tire aslāf kā ai dil yahī paiġhām thā
har taraf suunā samāñ thā ḳhāmushī kā raaj thā
jo bhī tair-e-ḳhush-navā thā vo asīr-e-dām thā
mā-sivā is nīm-jāñ aur be-kas-o-nādār ke
'faiz' terā thā sabhī par aur lutf-e-ām thā
rind-e-baada-nosh jis ka mai-kade mein nam tha
saqiya mahfil mein teri wo hi tishna-kaam tha
is jahan-e-arzu mein aashna koi na tha
tha agar kuchh aashna to dard-e-be-aram tha
aaj kyon azmat ka parcham hai hamara sar-nigun
baam-o-dar par shahr ke kal tak isi ka nam tha
jalte rahna kina-o-bughz-o-hasad ki aag mein
kya tere aslaf ka ai dil yahi paigham tha
har taraf suna saman tha KHamushi ka raj tha
jo bhi tair-e-KHush-nawa tha wo asir-e-dam tha
ma-siwa is nim-jaan aur be-kas-o-nadar ke
'faiz' tera tha sabhi par aur lutf-e-am tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.