rindon ka zarf saqi tu dekh aazma ke
rindoñ kā zarf saaqī tū dekh aazmā ke
gar zahar bhī atā ho pī leñge muskurā ke
is mai-kade se bāhar itnā hameñ batā de
saaqī sukūñ milegā kis anjuman meñ jā ke
bāda-kashoñ ke koī ye hausle to dekhe
mahfil meñ pī rahe haiñ vaa.iz ko mai dikhā ke
ab mai-kashoñ kā piinā kār-e-savāb Thahre
sāġhar chhalak rahe haiñ hāthoñ meñ pārsā ke
tauba bhī kī thī shāyad paimān-e-tark-e-mai bhī
sab kuchh bhulā diyā hai kaalī ghaTā ne chhā ke
jis dil meñ aarzū ho jannat ko dekhne kī
dekhe vo aaj jannat un kī galī meñ jā ke
jiinā ho ab ki marnā Dūbeñ ki paar utreñ
kashtī hai apnī 'shā.eq' hāthoñ meñ nāḳhudā ke
rindon ka zarf saqi tu dekh aazma ke
gar zahar bhi ata ho pi lenge muskura ke
is mai-kade se bahar itna hamein bata de
saqi sukun milega kis anjuman mein ja ke
baada-kashon ke koi ye hausle to dekhe
mahfil mein pi rahe hain waiz ko mai dikha ke
ab mai-kashon ka pina kar-e-sawab Thahre
saghar chhalak rahe hain hathon mein parsa ke
tauba bhi ki thi shayad paiman-e-tark-e-mai bhi
sab kuchh bhula diya hai kali ghaTa ne chha ke
jis dil mein aarzu ho jannat ko dekhne ki
dekhe wo aaj jannat un ki gali mein ja ke
jina ho ab ki marna Duben ki par utren
kashti hai apni 'shaeq' hathon mein naKHuda ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.