rindon ko tere aarzu-e-KHushk-labi hai
rindoñ ko tire ārzū-e-ḳhushk-labī hai
ab ai nigah-e-mast tū kyā DhūñD rahī hai
mansūḳh hai is daur meñ har rasm-e-girebāñ
ab mashġhala-e-ahl-e-junūñ sīna-zanī hai
shahzāda-e-ma.anī koī aa.e to jagā.e
shā.er kā taḳhayyul bhī to ḳhvābīda parī hai
muddat se thī āvāra vo pahnā.e-fazā meñ
ḳhāk-e-rah-e-anjum jo mire sar pe paḌī hai
har ḳhaar hai ġhaltīda-ba-ḳhūñ dasht-e-vafā meñ
ai sañg-e-rah-e-yār kise Thes lagī hai
rindon ko tere aarzu-e-KHushk-labi hai
ab ai nigah-e-mast tu kya DhunD rahi hai
mansuKH hai is daur mein har rasm-e-gireban
ab mashghala-e-ahl-e-junun sina-zani hai
shahzada-e-mani koi aae to jagae
shaer ka taKHayyul bhi to KHwabida pari hai
muddat se thi aawara wo pahnae-faza mein
KHak-e-rah-e-anjum jo mere sar pe paDi hai
har KHar hai ghaltida-ba-KHun dasht-e-wafa mein
ai sang-e-rah-e-yar kise Thes lagi hai
- Book : Ganj e Sokhta (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.