rishta bahaal kash phir uski gali se ho
rishta bahāl kaash phir us kī galī se ho
jī chāhtā hai ishq phir usī se ho
ḳhvāhish hai pahuñchūñ ishq ke maiñ us maqām par
jab un kā sāmnā merī dīvāngī se ho
ab mere sar pe sab ko hañsāne kā kaam hai
maiñ chāhtā huuñ kaam ye sanjīdgī se ho
kapḌoñ kī vaj.h se mujhe kamtar na āñkiye
achchhā ho merī jāñch-parakh shā.irī se ho
rishta bahaal kash phir us ki gali se ho
ji chahta hai ishq phir usi se ho
KHwahish hai pahunchun ishq ke main us maqam par
jab un ka samna meri diwangi se ho
ab mere sar pe sab ko hansane ka kaam hai
main chahta hun kaam ye sanjidgi se ho
kapDon ki wajh se mujhe kamtar na aankiye
achchha ho meri jaanch-parakh shairi se ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.