rishta bana liya to nibhane ki fikr kar
rishta banā liyā to nibhāne kī fikr kar
mil kar charāġh-e-'ishq jalāne kī fikr kar
jiine kī aarzū ke liye ḳhvāb chāhiye
palkoñ pe chand ḳhvāb sajāne kī fikr kar
bhaTkā huuñ jangaloñ meñ na jaane kahāñ kahāñ
ab to mujhe tū raah dikhāne kī fikr kar
milne se rok detī hai ham ko ye bārhā
dīvār-e-darmiyāñ ko girāne kī fikr kar
nashsha to botaloñ kā chaḌhā aur utar gayā
saaqī sharāb-e-husn pilāne kī fikr kar
tū āsmān sar pe uThāne kī baat chhoḌ
pairoñ tale zamīn bachāne kī fikr kar
rishta bana liya to nibhane ki fikr kar
mil kar charagh-e-'ishq jalane ki fikr kar
jine ki aarzu ke liye KHwab chahiye
palkon pe chand KHwab sajaane ki fikr kar
bhaTka hun jangalon mein na jaane kahan kahan
ab to mujhe tu rah dikhane ki fikr kar
milne se rok deti hai hum ko ye barha
diwar-e-darmiyan ko girane ki fikr kar
nashsha to botalon ka chaDha aur utar gaya
saqi sharab-e-husn pilane ki fikr kar
tu aasman sar pe uThane ki baat chhoD
pairon tale zamin bachane ki fikr kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.