rishta-e-dil bhi kisi din KHwab sa ho jaega
rishta-e-dil bhī kisī din ḳhvāb sā ho jā.egā
tere mere darmiyāñ vo fāsla ho jā.egā
piilī piilī rut judā.ī kī achānak aa.egī
qurbatoñ kā sabz mausam bevafā ho jā.egā
aa.ine rañgoñ ke ḳhālī chhoḌ jā.egī dhanak
hairateñ rah jā.eñgī manzar judā ho jā.egā
kyā nishāna Thiik baiThegā havā-e-tez meñ
jo kamāñ se tiir niklegā ḳhatā ho jā.egā
terī peshānī pe bhī paḌ jā.eñge talḳhī se bal
merī sachchī baat par tū bhī ḳhafā ho jā.egā
ghar se niklūñgā hathelī par liye ujlā charāġh
'ilm hai kaalī havā kā sāmnā ho jā.egā
aane vaale jaane vāloñ kā badal hote nahīñ
par nahīñ hogā jo paidā ik ḳhalā ho jā.egā
TuuT jā.egā dar-e-dīvār-e-zindāñ kā ġhurūr
ek āvāz aa.egī qaidī rihā ho jā.egā
maiñ nahīñ to aur hī baiThegā koī chhāñv meñ
aaj kā chhoTā sā buuTā kal baḌā ho jā.egā
āstīnoñ se nikāleñge jiyāle āftāb
bol-bālā raushnī ke shahr kā ho jā.egā
chāñd ko DhūñDeñgī āñkheñ phir na sūraj ko 'rashīd'
chāñd-sūraj se ta'alluq dūsrā ho jā.egā
rishta-e-dil bhi kisi din KHwab sa ho jaega
tere mere darmiyan wo fasla ho jaega
pili pili rut judai ki achanak aaegi
qurbaton ka sabz mausam bewafa ho jaega
aaine rangon ke KHali chhoD jaegi dhanak
hairaten rah jaengi manzar juda ho jaega
kya nishana Thik baiThega hawa-e-tez mein
jo kaman se tir niklega KHata ho jaega
teri peshani pe bhi paD jaenge talKHi se bal
meri sachchi baat par tu bhi KHafa ho jaega
ghar se niklunga hatheli par liye ujla charagh
'ilm hai kali hawa ka samna ho jaega
aane wale jaane walon ka badal hote nahin
par nahin hoga jo paida ek KHala ho jaega
TuT jaega dar-e-diwar-e-zindan ka ghurur
ek aawaz aaegi qaidi riha ho jaega
main nahin to aur hi baiThega koi chhanw mein
aaj ka chhoTa sa buTa kal baDa ho jaega
aastinon se nikalenge jiyale aaftab
bol-baala raushni ke shahr ka ho jaega
chand ko DhunDengi aankhen phir na suraj ko 'rashid'
chand-suraj se ta'alluq dusra ho jaega
- Book : siip (Magzin) (Pg. 237)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.