rishte bane hue hain sabhi ke sabhi ke sath
rishte bane hue haiñ sabhī ke sabhī ke saath
vābastagī nahīñ hai kisī kī kisī ke saath
TuuTā hai ik sitāra abhī āsmān se
phir bevafā.ī kī hai kisī ne kisī ke saath
raushan gharoñ meñ baañT dī phir raushnī tamām
insāf ye huā hai mirī tīrgī ke saath
itnī taheñ khulī haiñ ki khultī chalī ga.iiñ
ik baat us ne kī thī baḌī sādgī ke saath
us kī talāsh us kī talab us kā zikr-e-ḳhair
dar-parda bandagī hai mirī shā.irī ke saath
rishte bane hue hain sabhi ke sabhi ke sath
wabastagi nahin hai kisi ki kisi ke sath
TuTa hai ek sitara abhi aasman se
phir bewafai ki hai kisi ne kisi ke sath
raushan gharon mein banT di phir raushni tamam
insaf ye hua hai meri tirgi ke sath
itni tahen khuli hain ki khulti chali gain
ek baat us ne ki thi baDi sadgi ke sath
us ki talash us ki talab us ka zikr-e-KHair
dar-parda bandagi hai meri shairi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.