rishton ke darmiyan saf-arai ho gai
rishtoñ ke darmiyān saf-ārā.ī ho ga.ī
nā-āshnāoñ se bhī shanāsā.ī ho ga.ī
kyā karte zindagī se mohabbat hameñ bhī thī
nīlām chand sikkoñ meñ sachchā.ī ho ga.ī
jis ko ho e'tirāz vo nazreñ sameT le
is daur meñ burā.ī bhī achchhā.ī ho ga.ī
lagtā hai ghul ga.ī hai siyāsat ḳhulūs meñ
apne hī dostoñ se harīfā.ī ho ga.ī
saare subūt chhoḌ ke sar kaaT le ga.e
nādān qātiloñ se ye dānā.ī ho ga.ī
'ma.asūm' merā sher thā yā mauj-e-be-qarār
ghar baiThe saare shahr meñ rusvā.ī ho ga.ī
rishton ke darmiyan saf-arai ho gai
na-ashnaon se bhi shanasai ho gai
kya karte zindagi se mohabbat hamein bhi thi
nilam chand sikkon mein sachchai ho gai
jis ko ho e'tiraaz wo nazren sameT le
is daur mein burai bhi achchhai ho gai
lagta hai ghul gai hai siyasat KHulus mein
apne hi doston se harifai ho gai
sare subut chhoD ke sar kaT le gae
nadan qatilon se ye danai ho gai
'masum' mera sher tha ya mauj-e-be-qarar
ghar baiThe sare shahr mein ruswai ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.