rishton mein bhi aai siyasat kaisi be-imani hai
rishton mein bhi aai siyasat kaisi be-imani hai
Maqsood Anwar Maqsood
MORE BYMaqsood Anwar Maqsood
rishtoñ meñ bhī aa.ī siyāsat kaisī be-īmānī hai
haiñ saare alfāz shagufta lahje meñ vīrānī hai
ho gayā mushkil kaise chhupā.ūñ sar se le kar paañv talak
apnī chādar phaT saktī hai aisī khīñchā-tānī hai
us ko paane kī koshish meñ jaan tirī halkān hai kyuuñ
duniyā andar se pītal uupar sone kā paanī hai
is hammām meñ sab nañge haiñ kis pe uThā.e uñglī kaun
apnī apnī chaukhaT hai apnī apnī peshānī hai
maiñ apne kamre meñ baiThā tanhā tanhā jaltā huuñ
chhat par chham-chham naach rahī hai kaisī barkhā raanī hai
aate jaate lamhe us ko dekh rahe haiñ hairat se
taḳht banāyā hai sone kā do din kī sultānī hai
ham ne kiyā 'maqsūd' ḳhasāre kā ye saudā jīvan bhar
apne baare meñ nahīñ sochā baat sabhoñ kī maanī hai
rishton mein bhi aai siyasat kaisi be-imani hai
hain sare alfaz shagufta lahje mein virani hai
ho gaya mushkil kaise chhupaun sar se le kar panw talak
apni chadar phaT sakti hai aisi khincha-tani hai
us ko pane ki koshish mein jaan teri halkan hai kyun
duniya andar se pital upar sone ka pani hai
is hammam mein sab nange hain kis pe uThae ungli kaun
apni apni chaukhaT hai apni apni peshani hai
main apne kamre mein baiTha tanha tanha jalta hun
chhat par chham-chham nach rahi hai kaisi barkha rani hai
aate jate lamhe us ko dekh rahe hain hairat se
taKHt banaya hai sone ka do din ki sultani hai
hum ne kiya 'maqsud' KHasare ka ye sauda jiwan bhar
apne bare mein nahin socha baat sabhon ki mani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.