riwaj-e-jam-o-subu se bacha bacha ke pila
riwaj-e-jam-o-subu se bacha bacha ke pila
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
rivāj-e-jām-o-subū se bachā bachā ke pilā
pilāne vaale nazar se nazar milā ke pilā
ye ThanDī ThanDī havā.eñ ye kaalī kaalī ghaTā
hamārī tauba ke TukḌe uḌā uḌā ke pilā
mai-e-tahūr kā tālib hai shaiḳh ai saaqī
pilā hameñ magar us ko dikhā dikhā ke pilā
shabāb-o-husn kī tauhīn hai ġham-e-uqbā
maiñ muskurā ke piyūñ aur tū muskurā ke pilā
gunāhgār sahī tālib-e-karam to hai
'sahar' ke haq meñ tū dast-e-duā uThā ke pilā
riwaj-e-jam-o-subu se bacha bacha ke pila
pilane wale nazar se nazar mila ke pila
ye ThanDi ThanDi hawaen ye kali kali ghaTa
hamari tauba ke TukDe uDa uDa ke pila
mai-e-tahur ka talib hai shaiKH ai saqi
pila hamein magar us ko dikha dikha ke pila
shabab-o-husn ki tauhin hai gham-e-uqba
main muskura ke piyun aur tu muskura ke pila
gunahgar sahi talib-e-karam to hai
'sahar' ke haq mein tu dast-e-dua uTha ke pila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.