riwaj-e-qatl-e-insani bahut hai
rivāj-e-qatl-e-insānī bahut hai
yahāñ marne kī āsānī bahut hai
kahīñ barsāt ke mausam meñ sūkhā
kahīñ dariyā meñ tuġhyānī bahut hai
ḳhushī kā qaht hai bastī meñ dil kī
magar ġham kī farāvānī bahut hai
libās-e-maslahat tum ko mubārak
hameñ to chāk-dāmānī bahut hai
samajhtī hai añdheroñ ko ujālā
hamārī aql dīvānī bahut hai
sarāpā husn-e-sīrat hai 'moazzam'
magar fitrat meñ nādānī bahut hai
riwaj-e-qatl-e-insani bahut hai
yahan marne ki aasani bahut hai
kahin barsat ke mausam mein sukha
kahin dariya mein tughyani bahut hai
KHushi ka qaht hai basti mein dil ki
magar gham ki farawani bahut hai
libas-e-maslahat tum ko mubarak
hamein to chaak-damani bahut hai
samajhti hai andheron ko ujala
hamari aql diwani bahut hai
sarapa husn-e-sirat hai 'moazzam'
magar fitrat mein nadani bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.