riwayat-e-dar-o-rasan chhoD aae
rivāyāt-e-dār-o-rasan chhoḌ aa.e
ham ik ishq kā bāñkpan chhoḌ aa.e
jo ḳhauf-e-ḳhizāñ se chaman chhoḌ aa.e
irādoñ kī apne thakan chhoḌ aa.e
jahāñ moḌ aayā hai dushvāriyoñ kā
azā.em ko himmat-shikan chhoḌ aa.e
vo mahfil meñ yuuñ aaj jalva-fagan hai
koī chāñd jaise gagan chhoḌ aa.e
jahāñ se chale haiñ tirī justujū meñ
vahāñ ik vafā kā chalan chhoḌ aa.e
hameñ bevafā.ī kā yuuñ ġham nahīñ hai
ham ik un ke dil meñ chubhan chhoḌ aa.e
jahāñ Thes pahuñchī hamārī anā ko
zamīñ kyā hai 'rāje' gagan chhoḌ aa.e
riwayat-e-dar-o-rasan chhoD aae
hum ek ishq ka bankpan chhoD aae
jo KHauf-e-KHizan se chaman chhoD aae
iradon ki apne thakan chhoD aae
jahan moD aaya hai dushwariyon ka
azaem ko himmat-shikan chhoD aae
wo mahfil mein yun aaj jalwa-fagan hai
koi chand jaise gagan chhoD aae
jahan se chale hain teri justuju mein
wahan ek wafa ka chalan chhoD aae
hamein bewafai ka yun gham nahin hai
hum ek un ke dil mein chubhan chhoD aae
jahan Thes pahunchi hamari ana ko
zamin kya hai 'raje' gagan chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.