riwayat thi ye samjhauta nahin tha
rivāyat thī ye samjhautā nahīñ thā
maiñ sab kā thā koī merā nahīñ thā
hamesha is liye nā-ḳhush rahā maiñ
jo achchhā thā bahut achchhā nahīñ thā
mire hisse meñ aaya sabr kā phal
magar afsos vo mīThā nahīñ thā
kahānī zindagī kī muḳhtasar thī
alif-lailā kā afsāna nahīñ thā
usī aañsū pe thī ummīd qaa.em
jo us kī aañkh se chhalkā nahīñ thā
tavāzun kho chukī barsoñ se duniyā
jahāñ fir.aun thā muusā nahīñ thā
sazā ġhairoñ ke jurmoñ kī milegī
maiñ vo kāTūñgā jo boyā nahīñ thā
sar-e-rah lūTte haiñ chain rahzan
yahāñ aisā kabhī hotā nahīñ thā
diloñ ke rishte kaise TuuT jaate
ye do mulkoñ kā baTvārā nahīñ thā
musāvāt-e-haram allāhu-akbar
vahāñ koī baḌā chhoTā nahīñ thā
ḳhudāyā baḳhsh de merī ḳhatā.eñ
maiñ aksar hosh meñ rahtā nahīñ thā
riwayat thi ye samjhauta nahin tha
main sab ka tha koi mera nahin tha
hamesha is liye na-KHush raha main
jo achchha tha bahut achchha nahin tha
mere hisse mein aaya sabr ka phal
magar afsos wo miTha nahin tha
kahani zindagi ki muKHtasar thi
alif-laila ka afsana nahin tha
usi aansu pe thi ummid qaem
jo us ki aankh se chhalka nahin tha
tawazun kho chuki barson se duniya
jahan firaun tha musa nahin tha
saza ghairon ke jurmon ki milegi
main wo kaTunga jo boya nahin tha
sar-e-rah luTte hain chain rahzan
yahan aisa kabhi hota nahin tha
dilon ke rishte kaise TuT jate
ye do mulkon ka baTwara nahin tha
musawat-e-haram allahu-akbar
wahan koi baDa chhoTa nahin tha
KHudaya baKHsh de meri KHataen
main aksar hosh mein rahta nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.