riwayaton ke KHudaon mein jang hai kuchh aur
rivāyatoñ ke ḳhudāoñ meñ jang hai kuchh aur
magar suno to sadā-e-malang hai kuchh aur
na jaane kaun sā tūfān aane vaalā hai
siyāh raat ke bahne kā Dhang hai kuchh aur
gulāb-rut kī shafaq-manzarī kā kyā kahnā
basant-rut kā magar zard rang hai kuchh aur
hamāre ham-safaroñ kī uḌaan manzil tak
magar hamāre to dil meñ tarang hai kuchh aur
rivāyatoñ kī shikasta hudūd se haT kar
hamārī ahl-e-zamāna se jang hai kuchh aur
ye maanā shaam bichhā.egī surma.ī chādar
simaTtī dhuup meñ lekin umang hai kuchh aur
safed bāloñ meñ mehñdī rachā.e phirte ho
janāb-e-'rind' tumhārā bhī Dhang hai kuchh aur
riwayaton ke KHudaon mein jang hai kuchh aur
magar suno to sada-e-malang hai kuchh aur
na jaane kaun sa tufan aane wala hai
siyah raat ke bahne ka Dhang hai kuchh aur
gulab-rut ki shafaq-manzari ka kya kahna
basant-rut ka magar zard rang hai kuchh aur
hamare ham-safaron ki uDan manzil tak
magar hamare to dil mein tarang hai kuchh aur
riwayaton ki shikasta hudud se haT kar
hamari ahl-e-zamana se jang hai kuchh aur
ye mana sham bichhaegi surmai chadar
simaTti dhup mein lekin umang hai kuchh aur
safed baalon mein mehndi rachae phirte ho
janab-e-'rind' tumhaara bhi Dhang hai kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.