riwayaton se bhare hashiye se bahar aa
rivāyatoñ se bhare hāshiye se bāhar aa
tilism toḌ ke tū dā.ere se bāhar aa
jamāl-e-yār kī jādūgarī se dāman jhaaḌ
nigāh-e-nāz ke har zāviye se bāhar aa
mujhe utārnā hai aks terā kāġhaz par
ḳhayāl-e-yār zarā hāfize se bāhar aa
maiñ Daal dūñgā tujhe ab jadīd sāñche meñ
radīf chhoḌ ke tū qāfiye se bāhar aa
nikāl koī nayā rāsta mohabbat kā
tū nafratoñ se bhare qāfiye se bāhar aa
ḳhudā ke vāste koī kahe ye 'sāgar' jī
firāq-o-hijr ke har sānahe se bāhar aa
riwayaton se bhare hashiye se bahar aa
tilism toD ke tu daere se bahar aa
jamal-e-yar ki jadugari se daman jhaD
nigah-e-naz ke har zawiye se bahar aa
mujhe utarna hai aks tera kaghaz par
KHayal-e-yar zara hafize se bahar aa
main Dal dunga tujhe ab jadid sanche mein
radif chhoD ke tu qafiye se bahar aa
nikal koi naya rasta mohabbat ka
tu nafraton se bhare qafiye se bahar aa
KHuda ke waste koi kahe ye 'sagar' ji
firaq-o-hijr ke har sanahe se bahar aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.