Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

riya-kari ke dhandon mein na tu shamil na main shamil

Naina Adil

riya-kari ke dhandon mein na tu shamil na main shamil

Naina Adil

MORE BYNaina Adil

    riyā-kārī ke dhandoñ meñ na shāmil na maiñ shāmil

    ḳhudā ke nek bandoñ meñ na shāmil na maiñ shāmil

    vafā sūkhtī jhīloñ se lākhoñ kuuch karte haiñ

    magar uḌte parindoñ meñ na shāmil na maiñ shāmil

    tamāshā dekhte haiñ aap apnā aur hañste haiñ

    hamāre dard-mandoñ meñ na tum shāmil na maiñ shāmil

    abhī to bhīgte lamhoñ ne pahlā bhed paayā hai

    abhī bārish būñdoñ meñ na shāmil na maiñ shāmil

    fasād-o-qatl karte haiñ jo tere mere nāmoñ par

    ilāhī in darindoñ meñ na shāmil na maiñ shāmil

    na e.azāzāt aur aar tamġhe aur na seminar

    adab ke shar-pasandoñ meñ na tum shāmil na maiñ shāmil

    riya-kari ke dhandon mein na tu shamil na main shamil

    KHuda ke nek bandon mein na tu shamil na main shamil

    wafa ki sukhti jhilon se lakhon kuch karte hain

    magar uDte parindon mein na tu shamil na main shamil

    tamasha dekhte hain aap apna aur hanste hain

    hamare dard-mandon mein na tum shamil na main shamil

    abhi to bhigte lamhon ne pahla bhed paya hai

    abhi barish ki bundon mein na tu shamil na main shamil

    fasad-o-qatl karte hain jo tere mere namon par

    ilahi in darindon mein na tu shamil na main shamil

    na eazazat aur pi aar tamghe aur na seminar

    adab ke shar-pasandon mein na tum shamil na main shamil

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now