riya-kariyon se musallah ye lashkar mujhe mar denge
riya-kariyon se musallah ye lashkar mujhe mar denge
Hasan Abbas Raza
MORE BYHasan Abbas Raza
riyā-kāriyoñ se musallah ye lashkar mujhe maar deñge
maiñ bach bhī gayā to na.e hamla-āvar mujhe maar deñge
ba-zāhir ye ahl-e-mohabbat haiñ lekin munāfiq bahut haiñ
ye ik roz dām-e-mohabbat meñ lā kar mujhe maar deñge
maiñ apnī hī āvāz apne hī saa.e se Darne lagā huuñ
aur ab ḳhauf ye hai ki mere yahī Dar mujhe maar deñge
isī meñ amaañ hai ki maiñ un ke chehre palaT kar na dekhūñ
palaTne kī sūrat meñ ye kīna-parvar mujhe maar deñge
maiñ hone ko apne hī bātin meñ rū-posh ho jā.ūñ lekin
mire apne ahbāb shak kī binā par mujhe maar deñge
ye kāmil yaqīñ hai ki jis din bhī apne muqābil meñ aayā
mirī zaat meñ morcha-band ḳhud-sar mujhe maar deñge
'hasan' ab khule āsmānoñ meñ parvāz karnā paḌegī
vagarna ye ḳhisht-e-havas se bane ghar mujhe maar deñge
riya-kariyon se musallah ye lashkar mujhe mar denge
main bach bhi gaya to nae hamla-awar mujhe mar denge
ba-zahir ye ahl-e-mohabbat hain lekin munafiq bahut hain
ye ek roz dam-e-mohabbat mein la kar mujhe mar denge
main apni hi aawaz apne hi sae se Darne laga hun
aur ab KHauf ye hai ki mere yahi Dar mujhe mar denge
isi mein aman hai ki main un ke chehre palaT kar na dekhun
palaTne ki surat mein ye kina-parwar mujhe mar denge
main hone ko apne hi baatin mein ru-posh ho jaun lekin
mere apne ahbab shak ki bina par mujhe mar denge
ye kaamil yaqin hai ki jis din bhi apne muqabil mein aaya
meri zat mein morcha-band KHud-sar mujhe mar denge
'hasan' ab khule aasmanon mein parwaz karna paDegi
wagarna ye KHisht-e-hawas se bane ghar mujhe mar denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.