rizq ki justuju mein kise thi KHabar tu bhi ho jaega raegan ya aKHi
rizq ki justuju mein kise thi KHabar tu bhi ho jaega raegan ya aKHi
Irfan Sattar
MORE BYIrfan Sattar
rizq kī justujū meñ kise thī ḳhabar tū bhī ho jā.egā rā.egāñ yā aḳhī
terī āsūda-hālī kī ummīd par kar ga.e ham to apnā ziyāñ yā aḳhī
jab na thā ye bayābān-e-dīvār-o-dar jab na thī ye siyāhī bharī rahguzar
kaise karte the ham guftugū raat bhar kaise suntā thā ye āsmāñ yā aḳhī
jab ye ḳhvāhish kā amboh-e-vahshat na thā shahr itnā tahī-dast-e-fursat na thā
kitne ābād rahte the ahl-e-hunar har nazar thī yahāñ mehrbāñ yā aḳhī
ye giroh-e-asīrān-e-kizb-o-riyā bandagān-e-diram bandagān-e-anā
ham faqat ahl-e-dil ye faqat ahl-e-zar umr kaise kaTegī yahāñ yā aḳhī
ḳhud-kalāmī kā ye silsila ḳhatm kar gosh-o-āvāz kā fāsla ḳhatm kar
ik ḳhamoshī hai phailī huī sar-basar kuchh suḳhan chāhiye darmiyāñ yā aḳhī
jism kī ḳhvāhish se nikal kar chaleñ zāviya justujū kā badal kar chaleñ
DhūñDne āgahī kī koī rahguzar ruuh ke vāste sā.ebāñ yā aḳhī
haañ kahā thā ye ham ne bichhaḌte hue lauT ā.eñge ham umr Dhalte hue
ham ne sochā bhī thā vāpsī kā magar phir ye sochā ki tū ab kahāñ yā aḳhī
ḳhud-shanāsī ke lamhe baham kab hue ham jo the dar-haqīqat vo ham kab hue
terā ehsān ho tū batā de agar kuchh hameñ bhī hamārā nishāñ yā aḳhī
qissa-e-ranj-o-hasrat nahīñ muḳhtasar tujh ko kyā kyā batā.egī ye chashm-e-tar
ātish-e-ġham meñ jalte haiñ qalb-o-jigar aañkh tak aa rahā hai dhuāñ yā aḳhī
tū hameñ dekh aa kar sar-e-anjuman yuuñ samajh le ki haiñ jān-e-bazm-e-shuḳhan
ik to rūdād dilchasp hai is qadar aur us par hamārā bayāñ yā aḳhī
umr ke baab meñ ab ri.āyat kahāñ samt tabdīl karne kī mohlat kahāñ
dekh bād-e-fanā khaTkhaTātī hai dar ḳhatm hone ko hai dāstāñ yā aḳhī
ho chukā sab jo honā thā sūd-o-ziyāñ ab jo socheñ to kyā rah gayā hai yahāñ
aur kuchh fāsle kā ye raḳht-e-safar aur kuchh roz kā naqd-e-jāñ yā aḳhī
rizq ki justuju mein kise thi KHabar tu bhi ho jaega raegan ya aKHi
teri aasuda-haali ki ummid par kar gae hum to apna ziyan ya aKHi
jab na tha ye bayaban-e-diwar-o-dar jab na thi ye siyahi bhari rahguzar
kaise karte the hum guftugu raat bhar kaise sunta tha ye aasman ya aKHi
jab ye KHwahish ka amboh-e-wahshat na tha shahr itna tahi-dast-e-fursat na tha
kitne aabaad rahte the ahl-e-hunar har nazar thi yahan mehrban ya aKHi
ye giroh-e-asiran-e-kizb-o-riya bandagan-e-diram bandagan-e-ana
hum faqat ahl-e-dil ye faqat ahl-e-zar umr kaise kaTegi yahan ya aKHi
KHud-kalami ka ye silsila KHatm kar gosh-o-awaz ka fasla KHatm kar
ek KHamoshi hai phaili hui sar-basar kuchh suKHan chahiye darmiyan ya aKHi
jism ki KHwahish se nikal kar chalen zawiya justuju ka badal kar chalen
DhunDne aagahi ki koi rahguzar ruh ke waste saeban ya aKHi
han kaha tha ye hum ne bichhaDte hue lauT aaenge hum umr Dhalte hue
hum ne socha bhi tha wapsi ka magar phir ye socha ki tu ab kahan ya aKHi
KHud-shanasi ke lamhe baham kab hue hum jo the dar-haqiqat wo hum kab hue
tera ehsan ho tu bata de agar kuchh hamein bhi hamara nishan ya aKHi
qissa-e-ranj-o-hasrat nahin muKHtasar tujh ko kya kya bataegi ye chashm-e-tar
aatish-e-gham mein jalte hain qalb-o-jigar aankh tak aa raha hai dhuan ya aKHi
tu hamein dekh aa kar sar-e-anjuman yun samajh le ki hain jaan-e-bazm-e-shuKHan
ek to rudad dilchasp hai is qadar aur us par hamara bayan ya aKHi
umr ke bab mein ab riayat kahan samt tabdil karne ki mohlat kahan
dekh baad-e-fana khaTkhaTati hai dar KHatm hone ko hai dastan ya aKHi
ho chuka sab jo hona tha sud-o-ziyan ab jo sochen to kya rah gaya hai yahan
aur kuchh fasle ka ye raKHt-e-safar aur kuchh roz ka naqd-e-jaan ya aKHi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.