Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ro ke in aankhon ne dariya kar diya

Mushafi Ghulam Hamdani

ro ke in aankhon ne dariya kar diya

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    ro ke in āñkhoñ ne dariyā kar diyā

    abr ko paanī se patlā kar diyā

    husn hai ik fitnagar us ne vahīñ

    jis ko chāhā us ko rusvā kar diyā

    tum ne kuchh saaqī kal dekhī adā

    mujh ko sāġhar-e-mai chhalkā kar diyā

    baiThe-baiThe phir ga.iiñ āñkheñ mirī

    mujh ko in āñkhoñ ne ye kyā kar diyā

    us ne jab mujh par chalā.ī teġh haa.e

    kyuuñ maiñ apnā haath ūñchā kar diyā

    'mus.hafī' ke dekh yuuñ chehre rañg

    ishq ne kyā us naqshā kar diyā

    ro ke in aankhon ne dariya kar diya

    abr ko pani se patla kar diya

    husn hai ek fitnagar us ne wahin

    jis ko chaha us ko ruswa kar diya

    tum ne kuchh saqi ki kal dekhi ada

    mujh ko saghar-e-mai ka chhalka kar diya

    baiThe-baiThe phir gain aankhen meri

    mujh ko in aankhon ne ye kya kar diya

    us ne jab mujh par chalai tegh hae

    kyun main apna hath uncha kar diya

    'mushafi' ke dekh yun chehre ka rang

    ishq ne kya us ka naqsha kar diya

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now