rok de usko bhala kis ki majal aata hai
rok de usko bhala kis ki majal aata hai
Rasheed Kausar Farooquee
MORE BYRasheed Kausar Farooquee
rok de us ko bhalā kis kī majāl aatā hai
har taraqqī ke ta.āqub meñ zavāl aatā hai
larza-añgez sahī tamkanat-e-taḳht-e-shahī
lek jab arsh-e-mua.allā ko jalāl aatā hai
ek dil pyaar bharā sab ke liye laayā huuñ
na mujhe aur koī fan na kamāl aatā hai
maiñ ne murshid se duā chāhī to hañs kar ye kahā
pyaar ghar chhoḌ ke jaatā hai jo maal aatā hai
jab ye uftād paḌī mujh pe samajh meñ aayā
ek shīshe kī tarah dil meñ bhī baal aatā hai
naag kā zahr bhī shīrīñ hai zarā yaad rahe
sar-e-mimbar koī nau-shīnā maqāl aatā hai
dekhte jā.iye sāme.a nazar aane ke nahīñ
anjuman meñ vo koī ḳhair-sagāl aatā hai
sitam ījād na kar ai sitam-ījād bahut
tere sar kitnī hī nasloñ kā vabāl aatā hai
donoñ paidā to khanaktī huī miTTī se hue
taal par tum ko mujhe qaal pe haal aatā hai
dil to phir dil hai miyāñ zehn bhī qaabū meñ kahāñ
jis ko chāho ki na aa.e vo ḳhayāl aatā hai
ab to panghaT kī vo doshīza talāsho jis ko
na bhar aatā hai na mashkīza sambhāl aatā hai
ik majānīn kī duniyā hai ye jādū-nagrī
bas ye dekho ki kise sehr-e-halāl aatā hai
ḳhud-farebī to haiñ mushtāq ki is dast meñ kab
āsmāñ rañg-e-fusūñ-sāz-e-shaġhāl aatā hai
muntazir baiThe haiñ ham bhī ki pa.e dād-e-ġhazal
zaiġham aatā hai koī koī ġhazāl aatā hai
hañsne vaale kahīñ kuchh soch ke rone na lageñ
bazm meñ 'kausar'-e-āshufta-ḳhayāl aatā hai
rok de us ko bhala kis ki majal aata hai
har taraqqi ke taaqub mein zawal aata hai
larza-angez sahi tamkanat-e-taKHt-e-shahi
lek jab arsh-e-mualla ko jalal aata hai
ek dil pyar bhara sab ke liye laya hun
na mujhe aur koi fan na kamal aata hai
main ne murshid se dua chahi to hans kar ye kaha
pyar ghar chhoD ke jata hai jo mal aata hai
jab ye uftad paDi mujh pe samajh mein aaya
ek shishe ki tarah dil mein bhi baal aata hai
nag ka zahr bhi shirin hai zara yaad rahe
sar-e-mimbar koi nau-shina maqal aata hai
dekhte jaiye samea nazar aane ke nahin
anjuman mein wo koi KHair-sagal aata hai
sitam ijad na kar ai sitam-ijad bahut
tere sar kitni hi naslon ka wabaal aata hai
donon paida to khanakti hui miTTi se hue
tal par tum ko mujhe qal pe haal aata hai
dil to phir dil hai miyan zehn bhi qabu mein kahan
jis ko chaho ki na aae wo KHayal aata hai
ab to panghaT ki wo doshiza talasho jis ko
na bhar aata hai na mashkiza sambhaal aata hai
ek majaanin ki duniya hai ye jadu-nagri
bas ye dekho ki kise sehr-e-halal aata hai
KHud-farebi to hain mushtaq ki is dast mein kab
aasman rang-e-fusun-saz-e-shaghaal aata hai
muntazir baiThe hain hum bhi ki pae dad-e-ghazal
zaigham aata hai koi koi ghazal aata hai
hansne wale kahin kuchh soch ke rone na lagen
bazm mein 'kausar'-e-ashufta-KHayal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.