rok rakkha tha jo in aankhon mein khaara pani
rok rakkhā thā jo in āñkhoñ meñ khārā paanī
merī dīvāroñ meñ dar aayā vo saarā paanī
ek dariyā ko dikhā.ī thī kabhī pyaas apnī
phir nahīñ māñgā kabhī maiñ ne dobārā paanī
apnī āñkhoñ se nichoḌūñgā kisī roz use
kartā rahtā hai bahut mujh se kinārā paanī
ab ke bārish pe koī haq nahīñ insānoñ kā
ab ke chiḌiyoñ ke liye rab ne utārā paanī
maiñ samundar se lagī shor-zamīñ jaisā huuñ
mārtā rahtā hai mujh ko mirā khārā paanī
maiñ ne in āñkhoñ se kuchh motī chune the 'at.har'
mere hoñToñ meñ abhī jazb hai khārā paanī
rok rakkha tha jo in aankhon mein khaara pani
meri diwaron mein dar aaya wo sara pani
ek dariya ko dikhai thi kabhi pyas apni
phir nahin manga kabhi main ne dobara pani
apni aankhon se nichoDunga kisi roz use
karta rahta hai bahut mujh se kinara pani
ab ke barish pe koi haq nahin insanon ka
ab ke chiDiyon ke liye rab ne utara pani
main samundar se lagi shor-zamin jaisa hun
marta rahta hai mujh ko mera khaara pani
main ne in aankhon se kuchh moti chune the 'athar'
mere honTon mein abhi jazb hai khaara pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.