rok sakta tha kisi ko main magar jaane diya
rok saktā thā kisī ko maiñ magar jaane diyā
mujh meñ koī mar rahā thā maiñ ne mar jaane diyā
ḳhvāb thā āñkhoñ meñ merī maiñ ne āñkheñ khol diiñ
aur us ḳhushbū ko saare meñ bikhar jaane diyā
rafta-rafta dil ko duniyā kī havā raas aa ga.ī
rafta-rafta ham ne apnā zaḳhm bhar jaane diyā
aur ab vo log merī raah kī dīvār haiñ
jin ko maiñ ne apne andar se guzar jaane diyā
shaam koī dil se ho kar jā rahā thā 'āftāb'
ham ne dekhā ik nazar aur dekh kar jaane diyā
rok sakta tha kisi ko main magar jaane diya
mujh mein koi mar raha tha main ne mar jaane diya
KHwab tha aankhon mein meri main ne aankhen khol din
aur us KHushbu ko sare mein bikhar jaane diya
rafta-rafta dil ko duniya ki hawa ras aa gai
rafta-rafta hum ne apna zaKHm bhar jaane diya
aur ab wo log meri rah ki diwar hain
jin ko main ne apne andar se guzar jaane diya
sham koi dil se ho kar ja raha tha 'aftab'
hum ne dekha ek nazar aur dekh kar jaane diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.