roke kuchh der ghubar aankh ka dho len hum bhi
roke kuchh der ġhubār aañkh kā dho leñ ham bhī
apne bhī dil ko zarā aaj TaToleñ ham bhī
naam le kar kabhī ham ko bhī pukāre koī
apnā darvāza kisī roz to kholeñ ham bhī
lafz-o-ma.anī bhī ubharne lage sannāTe se
dar-o-dīvār jo bole haiñ to boleñ ham bhī
jī meñ aatā hai kabhī un kā tasavvur le kar
koī jaatā ho kahīñ saath meñ ho leñ ham bhī
roke kuchh der ghubar aankh ka dho len hum bhi
apne bhi dil ko zara aaj TaTolen hum bhi
nam le kar kabhi hum ko bhi pukare koi
apna darwaza kisi roz to kholen hum bhi
lafz-o-mani bhi ubharne lage sannaTe se
dar-o-diwar jo bole hain to bolen hum bhi
ji mein aata hai kabhi un ka tasawwur le kar
koi jata ho kahin sath mein ho len hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.