roken na apni fikr ko patjhaD ke aas-pas
rokeñ na apnī fikr ko patjhaḌ ke ās-pās
dīmak lagī huī hai har ik jaḌ ke ās-pās
vo be-dhaḌak gharoñ meñ bhī ā.eñge ek din
jo ḳhauf lām-band haiñ nukkaḌ ke ās-pās
ai khurdure samay na koī bojh dil meñ rakh
guzrī hai zindagī mirī bīhaḌ ke ās-pās
dharnā na de to kyā kare paanī galī-galī
kitne makān ban ga.e jauhaḌ ke ās-pās
roken na apni fikr ko patjhaD ke aas-pas
dimak lagi hui hai har ek jaD ke aas-pas
wo be-dhaDak gharon mein bhi aaenge ek din
jo KHauf lam-band hain nukkaD ke aas-pas
ai khurdure samay na koi bojh dil mein rakh
guzri hai zindagi meri bihaD ke aas-pas
dharna na de to kya kare pani gali-gali
kitne makan ban gae jauhaD ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.