aish ki jaanib jo mail kuchh tabiat ho gai
aish kī jānib jo maa.il kuchh tabī.at ho ga.ī
dil pe ġhussa aa gayā apne se nafrat ho ga.ī
mujh ko ḳhud apnī tabāhī par taras aatā nahīñ
ḳhūgar-e-ġham is qadar ab to tabī.at ho ga.ī
aa.ī jab stage par duniyā to dil ḳhush ho gayā
jab uThā anjām kā parda to nafrat ho ga.ī
aa ga.iiñ jumbish meñ taslīm-o-razā kī quvvateñ
lab mile hī the pa.e shikva ki aafat ho ga.ī
istilāh-e-bandagī meñ ruuh haiñ tāroñ kī 'josh'
chand zarre jin se peshānī kī zīnat ho ga.ī
aish ki jaanib jo mail kuchh tabiat ho gai
dil pe ghussa aa gaya apne se nafrat ho gai
mujh ko KHud apni tabahi par taras aata nahin
KHugar-e-gham is qadar ab to tabiat ho gai
aai jab stage par duniya to dil KHush ho gaya
jab uTha anjam ka parda to nafrat ho gai
aa gain jumbish mein taslim-o-raza ki quwwaten
lab mile hi the pae shikwa ki aafat ho gai
istilah-e-bandagi mein ruh hain taron ki 'josh'
chand zarre jin se peshani ki zinat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.