rona-dhona sirf dikhawa hota hai
ronā-dhonā sirf dikhāvā hotā hai
kaun mire jaane se tanhā hotā hai
us kī Tiis nahīñ jaatī hai saarī 'umr
pahlā dhokā pahlā dhokā hotā hai
naam bhī us kā yaad nahīñ rakh paate ham
galiyoñ galiyoñ jise pukārā hotā hai
saarī bāteñ yaad hameñ aa jaatī haiñ
lekin jab vo uThne vaalā hotā hai
mar jaatā hai tanz bhare ik jumle se
koī koī to itnā zinda hotā hai
aañsū bhī ham ḳharch vahīñ par karte haiñ
jahāñ koī dil rakhne vaalā hotā hai
be-matlab kī bhiiḌ lagāne vāloñ se
jaane vaalā aur akelā hotā hai
ghar meñ ise mahsūs karo yā sahrā meñ
sannāTā to bas sannāTā hotā hai
achchhe chehre achchhe chehre hote haiñ
un meñ bhī ik apnā vaalā hotā hai
rona-dhona sirf dikhawa hota hai
kaun mere jaane se tanha hota hai
us ki Tis nahin jati hai sari 'umr
pahla dhoka pahla dhoka hota hai
nam bhi us ka yaad nahin rakh pate hum
galiyon galiyon jise pukara hota hai
sari baaten yaad hamein aa jati hain
lekin jab wo uThne wala hota hai
mar jata hai tanz bhare ek jumle se
koi koi to itna zinda hota hai
aansu bhi hum KHarch wahin par karte hain
jahan koi dil rakhne wala hota hai
be-matlab ki bhiD lagane walon se
jaane wala aur akela hota hai
ghar mein ise mahsus karo ya sahra mein
sannaTa to bas sannaTa hota hai
achchhe chehre achchhe chehre hote hain
un mein bhi ek apna wala hota hai
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 24)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.