rona ho aasan hamara
ronā ho āsān hamārā
itnā kar nuqsān hamārā
baat nahīñ karnī to mat kar
chehra to pahchān hamārā
ḳhush-fahmī ho jā.egī ham ko
mat rakh itnā dhyān hamārā
pahlī choT meñ jaan ga.e ham
'ishq nahīñ maidān hamārā
maut ne aa kar bāñdh liyā thā
pahle hī sāmān hamārā
jiit gayā terā bholā-pan
haar gayā shaitān hamārā
rona ho aasan hamara
itna kar nuqsan hamara
baat nahin karni to mat kar
chehra to pahchan hamara
KHush-fahmi ho jaegi hum ko
mat rakh itna dhyan hamara
pahli choT mein jaan gae hum
'ishq nahin maidan hamara
maut ne aa kar bandh liya tha
pahle hi saman hamara
jit gaya tera bhola-pan
haar gaya shaitan hamara
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 82)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.