rona zar-o-qatar chhoD diya
ronā zār-o-qatār chhoḌ diyā
ham ne ye kārobār chhoḌ diyā
jis pe naqsh-e-qadam the majnūñ ke
ham ne vo ḳhār-zār chhoḌ diyā
ham ne taare to gin liye lekin
āñsuoñ kā shumār chhoḌ diyā
saath ummīd hī kā maiñ ne to
thā bahut ḳhush-gavār chhoḌ diyā
jo bharosa thā soch par mujh ko
vo bhī parvardigār chhoḌ diyā
ham ne to aasrā ḳhudā kā bhī
jo ki thā pā.edār chhoḌ diyā
be-vafā jab lagī mujhe maiñ ne
zindagī hī se pyaar chhoḌ diyā
maiñ ne to shaġhl-e-shā.erī 'rāhat'
jab huā dil pe baar chhoḌ diyā
rona zar-o-qatar chhoD diya
hum ne ye karobar chhoD diya
jis pe naqsh-e-qadam the majnun ke
hum ne wo KHar-zar chhoD diya
hum ne tare to gin liye lekin
aansuon ka shumar chhoD diya
sath ummid hi ka main ne to
tha bahut KHush-gawar chhoD diya
jo bharosa tha soch par mujh ko
wo bhi parwardigar chhoD diya
hum ne to aasra KHuda ka bhi
jo ki tha paedar chhoD diya
be-wafa jab lagi mujhe main ne
zindagi hi se pyar chhoD diya
main ne to shaghl-e-shaeri 'rahat'
jab hua dil pe bar chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.