rone lage hain log rulate hue mujhe
rone lage haiñ log rulāte hue mujhe
merī hī dāstān sunāte hue mujhe
mere safar ko aur bhī mushkil-zada na kar
yuuñ duur tak na dekh tū jaate hue mujhe
yaaro anā kī jañg meñ aksar yahī huā
vo hārtā gayā hai harāte hue mujhe
ye kaun merī zaat par ehsān kar gayā
ye kaun mar gayā hai bachāte hue mujhe
ik dard aa ke mujh meñ achānak Thahar gayā
royā vo jab gale se lagāte hue mujhe
maiñ bhī thakā huā thā so fauran hī bujh gayā
guzrī thī ye havā bhī bujhāte hue mujhe
rone lage hain log rulate hue mujhe
meri hi dastan sunate hue mujhe
mere safar ko aur bhi mushkil-zada na kar
yun dur tak na dekh tu jate hue mujhe
yaro ana ki jang mein aksar yahi hua
wo haarta gaya hai haraate hue mujhe
ye kaun meri zat par ehsan kar gaya
ye kaun mar gaya hai bachate hue mujhe
ek dard aa ke mujh mein achanak Thahar gaya
roya wo jab gale se lagate hue mujhe
main bhi thaka hua tha so fauran hi bujh gaya
guzri thi ye hawa bhi bujhate hue mujhe
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 56)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.