rone mein abr-e-tar ki tarah chashm ko mere josh hai
rone mein abr-e-tar ki tarah chashm ko mere josh hai
Ishq Aurangabadi
MORE BYIshq Aurangabadi
rone meñ abr-e-tar kī tarah chashm ko mere josh hai
naala meñ aah ra.ad sā shor hai aur ḳharosh hai
ra.ad ne shor se pukār mastoñ ko ye naved dī
tum ho kidhar ai mai-kasho mausam nā.e-o-nosh hai
chaak karūñ huuñ jeb-e-sabr tāle-e-andalīb dekh
sunñe ko us kā dard-e-dil gul hī ba-shakl-e-gosh hai
kin ne chaman meñ mai-kashī kī hai sabā tū sach kaho
jaam hai gul ke haath meñ ġhuncha subū ba-dosh hai
kaun divāna mar gayā us ke azā meñ ab talak
us ke libās sar-ba-sar chashm siyāh-posh hai
naala hai ḳhāna-zād-e-ishq lek kahāñ sar-o-dimāġh
apne to qāfile ke biich jo hai jaras ḳhamosh hai
rone mein abr-e-tar ki tarah chashm ko mere josh hai
nala mein aah rad sa shor hai aur KHarosh hai
rad ne shor se pukar maston ko ye nawed di
tum ho kidhar ai mai-kasho mausam nae-o-nosh hai
chaak karun hun jeb-e-sabr tale-e-andalib dekh
sunne ko us ka dard-e-dil gul hi ba-shakl-e-gosh hai
kin ne chaman mein mai-kashi ki hai saba tu sach kaho
jam hai gul ke hath mein ghuncha subu ba-dosh hai
kaun diwana mar gaya us ke aza mein ab talak
us ke libas sar-ba-sar chashm siyah-posh hai
nala hai KHana-zad-e-ishq lek kahan sar-o-dimagh
apne to qafile ke bich jo hai jaras KHamosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.