roz jab raat ko barah ka gajar hota hai
roz jab raat ko bārah kā gajar hotā hai
yātnāoñ ke añdhere meñ safar hotā hai
koī rahne kī jagah hai mire sapnoñ ke liye
vo gharauñdā sahī miTTī kā bhī ghar hotā hai
sir se siine meñ kabhī peT se paañv meñ kabhī
ik jagah ho to kaheñ dard idhar hotā hai
aisā lagtā hai ki uḌ kar bhī kahāñ pahuñcheñge
haath meñ jab koī TuuTā huā par hotā hai
sair ke vāste saḌkoñ pe nikal aate the
ab to ākāsh se pathrāv kā Dar hotā hai
roz jab raat ko barah ka gajar hota hai
yatnaon ke andhere mein safar hota hai
koi rahne ki jagah hai mere sapnon ke liye
wo gharaunda sahi miTTi ka bhi ghar hota hai
sir se sine mein kabhi peT se panw mein kabhi
ek jagah ho to kahen dard idhar hota hai
aisa lagta hai ki uD kar bhi kahan pahunchenge
hath mein jab koi TuTa hua par hota hai
sair ke waste saDkon pe nikal aate the
ab to aakash se pathraw ka Dar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.