rota hua wo baam mujhe yaad hai abhi
rotā huā vo baam mujhe yaad hai abhī
dil meñ bikhartī shaam mujhe yaad hai abhī
phir kaise ho gayā hai vahī shaḳhs itnā ḳhaas
samjhe the jis ko aam mujhe yaad hai abhī
ham aur saath saath kabhī is tarah mileñ
jaise ḳhayāl-e-ḳhām mujhe yaad hai abhī
vo guftugū nigāhoñ nigāhoñ meñ yaad hai
sargoshī meñ salām mujhe yaad hai abhī
kaise sañbhal sañbhal ke baḌā dekh-bhāl kar
ham tum the ham-kalām mujhe yaad hai abhī
kyā din the ḳhvāhishoñ kī baḌī rel-pel thī
jazboñ kā izhdihām mujhe yaad hai abhī
pūchhā ki mere dil meñ iqāmat hai kab talak
us ne kahā mudām mujhe yaad hai abhī
pūchhā ki zindagī meñ mirā ham-safar hai kaun
maiñ ne kahā ġhulām mujhe yaad hai abhī
ab tak vo zā.iqa bhī mujhe yaad hai 'yashab'
ham ne piyā thā jaam mujhe yaad hai abhī
rota hua wo baam mujhe yaad hai abhi
dil mein bikharti sham mujhe yaad hai abhi
phir kaise ho gaya hai wahi shaKHs itna KHas
samjhe the jis ko aam mujhe yaad hai abhi
hum aur sath sath kabhi is tarah milen
jaise KHayal-e-KHam mujhe yaad hai abhi
wo guftugu nigahon nigahon mein yaad hai
sargoshi mein salam mujhe yaad hai abhi
kaise sanbhal sanbhal ke baDa dekh-bhaal kar
hum tum the ham-kalam mujhe yaad hai abhi
kya din the KHwahishon ki baDi rel-pel thi
jazbon ka izhdiham mujhe yaad hai abhi
puchha ki mere dil mein iqamat hai kab talak
us ne kaha mudam mujhe yaad hai abhi
puchha ki zindagi mein mera ham-safar hai kaun
main ne kaha ghulam mujhe yaad hai abhi
ab tak wo zaiqa bhi mujhe yaad hai 'yashab'
hum ne piya tha jam mujhe yaad hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.