rote dekha unhen aaKHiri mein
rote dekhā unheñ āḳhirī meñ
'umr-bhar jo rahe gumrahī meñ
ab davā do ke zahr-e-halāhil
ham to ḳhush haiñ tumhārī ḳhushī meñ
ḳhūbiyāñ to bahut sī haiñ lekin
bas muravvat nahīñ aadmī meñ
zehn-o-dil jis se ho jaa.e raushan
aisā mazmūn ho shā'irī meñ
kuchh na kuchh to ġhalat-fahmiyāñ haiñ
farq kyoñ aa gayā dostī meñ
koī pūchhe zarā 'āshiqoñ se
lutf miltā hai kyā 'āshiqī meñ
juz mohabbat ke 'fārūq-ādil’
kuchh bhī rakkhā nahīñ zindagī meñ
rote dekha unhen aaKHiri mein
'umr-bhar jo rahe gumrahi mein
ab dawa do ke zahr-e-halahil
hum to KHush hain tumhaari KHushi mein
KHubiyan to bahut si hain lekin
bas murawwat nahin aadmi mein
zehn-o-dil jis se ho jae raushan
aisa mazmun ho sha'iri mein
kuchh na kuchh to ghalat-fahmiyan hain
farq kyon aa gaya dosti mein
koi puchhe zara 'ashiqon se
lutf milta hai kya 'ashiqi mein
juz mohabbat ke 'faruq-adil’
kuchh bhi rakkha nahin zindagi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.