rote hain dekh dekh ke dil ko jigar ko hum
rote haiñ dekh dekh ke dil ko jigar ko ham
ai dost kyā kaheñ tere tīr-e-nazar ko ham
aayā kabhī na rahm kisī ḳhasta-hāl par
dete haiñ daad us but-e-bedād-gar ko ham
naale dil-e-hazīñ ke na jā.eñge be-asar
ab be-ḳhabar na pā.eñge us be-ḳhabar ko ham
kahte haiñ log sab ki ye barchhī hai teġh hai
rakkheñge ab nazar meñ tumhārī nazar ko ham
sab kuchh vo jāntā hai use kyā ḳhabar nahīñ
kyūñkar sunā.eñ haal kisī bā-ḳhabar ko ham
hāthoñ meñ jaam hai na surāhī pe dastaras
kyā muñh dikhā.eñ gardish-e-shām-o-sahar ko ham
dil meñ basā ke ik but-e-bedād-gar kī yaad
barbād kar rahe haiñ is ābād ghar ko ham
barq-e-nigāh-e-nāz se bachnā muhāl hai
kab tak chhupā.e rakkheñge qalb-o-jigar ko ham
dām-e-fareb-e-husn hai rahbar har ik taraf
le jaa.eñ ab kahāñ dil-e-vahshat-asar ko ham
rote hain dekh dekh ke dil ko jigar ko hum
ai dost kya kahen tere tir-e-nazar ko hum
aaya kabhi na rahm kisi KHasta-haal par
dete hain dad us but-e-bedad-gar ko hum
nale dil-e-hazin ke na jaenge be-asar
ab be-KHabar na paenge us be-KHabar ko hum
kahte hain log sab ki ye barchhi hai tegh hai
rakkhenge ab nazar mein tumhaari nazar ko hum
sab kuchh wo jaanta hai use kya KHabar nahin
kyunkar sunaen haal kisi ba-KHabar ko hum
hathon mein jam hai na surahi pe dastaras
kya munh dikhaen gardish-e-sham-o-sahar ko hum
dil mein basa ke ek but-e-bedad-gar ki yaad
barbaad kar rahe hain is aabaad ghar ko hum
barq-e-nigah-e-naz se bachna muhaal hai
kab tak chhupae rakkhenge qalb-o-jigar ko hum
dam-e-fareb-e-husn hai rahbar har ek taraf
le jaen ab kahan dil-e-wahshat-asar ko hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.