rote rote kaun hansa tha
rote rote kaun hañsā thā
bārish meñ sūraj niklā thā
chalte hue āñdhī aa.ī thī
raste meñ bādal barsā thā
ham jab qasbe meñ utre the
sūraj kab kā Duub chukā thā
kabhī kabhī bijlī hañstī thī
kahīñ kahīñ chhīñTā paḌtā thā
tere saath tire hamrāhī
mere saath mirā rasta thā
rañj to hai lekin ye ḳhushī hai
ab ke safar tire saath kiyā thā
rote rote kaun hansa tha
barish mein suraj nikla tha
chalte hue aandhi aai thi
raste mein baadal barsa tha
hum jab qasbe mein utre the
suraj kab ka Dub chuka tha
kabhi kabhi bijli hansti thi
kahin kahin chhinTa paDta tha
tere sath tere hamrahi
mere sath mera rasta tha
ranj to hai lekin ye KHushi hai
ab ke safar tere sath kiya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.