rote rote os boli mera chehra dekh kar
rote rote os bolī merā chehra dekh kar
tum batāo kyā milā hai ḳhvāb us kā dekh kar
ik shikārī kā vo bachcha haa.e vo nanhā sā phuul
maiñ qafas meñ lauT aayā dasht saarā dekh kar
intihā.ī dhuup se bhī ik qadam aage kī dhuup
aah ye bhī bujh rahī hai merā saayā dekh kar
Thaharnā to zaat kā thā us pe ye bechain jism
chāñd taare ro paḌe haiñ bahtā dariyā dekh kar
dūsrī duniyā se bachne ke liye piite haiñ ham
ham bahut uktā ga.e haiñ ek duniyā dekh kar
rote rote os boli mera chehra dekh kar
tum batao kya mila hai KHwab us ka dekh kar
ek shikari ka wo bachcha hae wo nanha sa phul
main qafas mein lauT aaya dasht sara dekh kar
intihai dhup se bhi ek qadam aage ki dhup
aah ye bhi bujh rahi hai mera saya dekh kar
Thaharna to zat ka tha us pe ye bechain jism
chand tare ro paDe hain bahta dariya dekh kar
dusri duniya se bachne ke liye pite hain hum
hum bahut ukta gae hain ek duniya dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.