rote rote tanha chalte girte-paDte thak sa gaya hun
rote rote tanha chalte girte-paDte thak sa gaya hun
Bimal Krishn Ashk
MORE BYBimal Krishn Ashk
rote rote tanhā chalte girte-paḌte thak sā gayā huuñ
koī āñchal koī sāthī koī sahārā DhūñD rahā huuñ
rañg-birañge kapḌoñ meñ ik majma.a mele se aayā hai
koī chehra un chehroñ meñ tere jaisā DhūñD rahā huuñ
ai gulshan ke rahne vaalo meñ tum ko kyā yaad karūñgā
phuul nahīñ to kāñTe bhar do jholī phailā.e baiThā huuñ
pahle ḳhud ko to samjhā le auroñ ko samjhāne vaale
tū bhī ḳhud meñ ik aalam hai maiñ bhī ḳhud meñ ik duniyā huuñ
chanchal begāna saudā.ī hañsmukh farzāna harjā.ī
ek zarā sā jism hai jis meñ chhe chhe 'ashk' liye phirtā huuñ
rote rote tanha chalte girte-paDte thak sa gaya hun
koi aanchal koi sathi koi sahaara DhunD raha hun
rang-birange kapDon mein ek majma mele se aaya hai
koi chehra un chehron mein tere jaisa DhunD raha hun
ai gulshan ke rahne walo mein tum ko kya yaad karunga
phul nahin to kanTe bhar do jholi phailae baiTha hun
pahle KHud ko to samjha le auron ko samjhane wale
tu bhi KHud mein ek aalam hai main bhi KHud mein ek duniya hun
chanchal begana saudai hansmukh farzana harjai
ek zara sa jism hai jis mein chhe chhe 'ashk' liye phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.