rote rote wo ho gaya KHamosh
rote rote vo ho gayā ḳhāmosh
kyā huā pūchhā to kahā ḳhāmosh
jis ko kahte the ġhāzī-e-guftār
us ko hālāt ne kiyā ḳhāmosh
mai-kade meñ ajab thī ḳhāmoshī
jaam mañgvā ke chal diyā ḳhāmosh
dil se māñgā vo ho gayā merā
kaam kartī rahī duā ḳhāmosh
rahnumā.ī vo sab kī kartā rahā
umr-bhar rāsta rahā ḳhāmosh
raushnī us ne sab ko bāñTī hai
phir añdhere meñ kyoñ jalā ḳhāmosh
āriz-e-gul pe hai ḳhizāñ kī bahār
gaate gaate huī havā ḳhāmosh
rote rote wo ho gaya KHamosh
kya hua puchha to kaha KHamosh
jis ko kahte the ghazi-e-guftar
us ko haalat ne kiya KHamosh
mai-kade mein ajab thi KHamoshi
jam mangwa ke chal diya KHamosh
dil se manga wo ho gaya mera
kaam karti rahi dua KHamosh
rahnumai wo sab ki karta raha
umr-bhar rasta raha KHamosh
raushni us ne sab ko banTi hai
phir andhere mein kyon jala KHamosh
aariz-e-gul pe hai KHizan ki bahaar
gate gate hui hawa KHamosh
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 140)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.